fulan se kaam chalta hai fulan se kaam chalta hai
chala.en vo jahan se bhi vahan se kaam chalta hai
kabhi bhule se kar lete hain un ka tazkira ham bhi
kabhi apna bhi yad-e-raftagan se kaam chalta hai
tumhari sha.iri jaisi bhi hai jo kuchh bhi hai lekin
tumhara sirf andaz-e-bayan se kaam chalta hai
tilavat aur tasbihat se aghaz karte hain
hamara sub.h ki pahli azaan se kaam chalta hai
idhar apni safon men bhi bahut se log hain us ke
vahan baiThe hue us ka yahan se kaam chalta hai
ye itne hashiya-bardar ham par kyon musallat hain
hamara to faqat ik hukmaran se kaam chalta hai
yaqin par ab hamen koi bharosa hi nahin ‘nami’
hamara aj-kal vahm-o-guman se kaam chalta hai
Leave a Reply