• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fazaon Se Guzarta Ja Raha Hun

Fazaon Se Guzarta Ja Raha Hun

fazaon se guzarta ja raha huun

ḳhalaon men bikharta ja raha huun

main registan men baiTha huun lekin

samundar men utarta ja raha huun

zamana lamha lamha ji raha hai

main lamha lamha marta ja raha huun

vo jitne duur hote ja rahe hain

main utna hi sanvarta ja raha huun

chala huun apne se do haat karne

magar ḳhud se bhi Darta ja raha huun

main nuqta ban ke ik markaz pe yaaro

na jaane kyuun Thaharta ja raha huun

miTane par bhi main urdu ki manind

sanvarta aur nikharta ja raha huun

main kaali jhiil men Duuba tha ḳhud hi

magar ḳhud hi ubharta ja raha huun

main ‘qaisar’ apni ankhon se Tapak kar

kisi dil men utarta ja raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ibraton Ke Har Ek Bayan Mein Hun

poet

Un Ko Dekha to Tabiat Mein Rawani Aai

Wo lapeT Kar Nikli Tauliye Mein Baal Apne

Chehre Shadabi Se Aari Aankhen Nur Se Khaali Hain

KHak Thi KHak-Dan Mein Kya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet