• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fauj-E-Mizhgan Ka Kuchh Irada Hai

Fauj-E-Mizhgan Ka Kuchh Irada Hai

poet

fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai

zulf-e-pechan ne laam bandha hai

lab-e-rangin ko kis ne chusa hai

dekh lo ye aqiiq jhuta hai

kaun aaya chhadi savari se

ne savari ka kis ki shohra hai

daant khatte hue anaron ke

un ka seb-e-zaqan ye mitha hai

bosa-e-lab diya jo bigde ghair

phuut men tum ne qand daala hai

katte ho hamare naam ke harf

khuub shosha hai zor-e-fiqara hai

vasf-e-qad ke do-chand hain mazmun

koi misraa nahin hai dohra hai

daant kanghi ka he magar mujh par

mar-e-gesu jo kaate khata hai

khuub hai vasl-e-ashiq-o-maashuq

ye bhi jodi ka ek nuskha hai

zakhm-e-dil par namak chhidak-vao

zaiqa mere munh ka phika hai

ghair ke ghar baja rahe ho sitar

tum ne dar-parda thaat badla hai

koi taaza kuaan jhakaenge

in dinon ikhtilat gahra hai

chutki angiya men tum na takvao

gore siine men niil padta hai

bosa honton ka mil gaya kis ko

dil men kuchh aaj dard mitha hai

chain se hain faqir baad-e-fana

qabr ke bhi sirhane takiya hai

ai ‘munir’ aap kyuun hain azurda

ye to kahiye mizaj kaisa hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

Zabt Se dil Nazar Rahta Hai

rahat-indori

Shahr Kya dekhen Ki Har Manzar Mein Jale Pad Gae

Tanhaiyon Ka Habs Mujhe kaTta Raha

Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai

bashir-badr

Jab Raat Ki Tanhai dil Ban Ke dhadakti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet