fasurda-dil hai nazron ki pareshani nahin jaati
ki ab tasvir meri mujh se pahchani nahin jaati
tumhari hi gali men umr kat jaae to behtar hai
ki mujh se dar-ba-dar ki khaak ab chhani nahin jaati
ghulami ne tumhari vo ata ki hai mujhe azmat
ki shahi men bhi dil se khu-e-darbani nahin jaati
kahin lakhon ka gumbad hai ba-shakl-e-saeban sar par
kahin ik chadar-e-bosida jo taani nahin jaati
payam-e-marg dete hain hazaron hadse phir bhi
hamari qaum ki ‘sahil’ tan-asani nahin jaati
Leave a Reply