farogh-e-zulmat-e-shab tak hi jagmaga.enge
sahar hui to sitare nazar na a.enge
davam sirf haqiqat ko hai zamane men
jo dastan hai use log bhuul ja.enge
bhaTak rahe hain jo manzil ki justuju men abhi
vahi safar ke na.e zaviye bana.enge
harif-e-mauj-o-talatum hon sab ye na-mumkin
nahif hain jo safine vo Duub ja.enge
hamare zehn abhi itne nukta-ras hain kahan
tiri nazar ke ishare samajh na pa.enge
jafa se un ki jo tartib pa rahi hai abhi
vo dastan bhi sar-e-anjuman suna.enge
‘nasir’ tark-e-ta.alluq hi un se behtar hai
vafa ke naam pe kab tak fareb kha.enge
Leave a Reply