dud-e-atish ki tarah yaan se na tal jaunga
shama-san mahfil-e-janan hi men jal jaunga
duur se bhi use dekhun to ye chitvan men kahe
aa ke diide abhi talvon tale mal jaunga
dil-e-muztar ye kahe hai vahin le chal varna
tod chhati ke kivadon ko nikal jaunga
main huun khurshid-e-sar-e-koh yaqin hai ki vo maah
aaega baam pe tab jab ki main dhal jaunga
aaj bhi koi na le jaega vaan mujh ko to bas
kal nahin hai mujhe main ji hi se kal jaunga
vaan se uthta huun to kahta hai ye pa-e-raftar
jab zamin par tu rakhega main phisal jaunga
ba-khuda husn-e-butan ka yahi sab se hai kalam
vo chhalava huun ki tum sab ko main chhal jaunga
aa ke barson men vo mujh paas ye shab kahne lage
yaan thaharne men bahut se hain khalal jaunga
tegha qatil ka kahe hai ki duvali bandu
muuth ki tarah se tum sab pe main chal jaunga
go mizaj is ka ye badla ki kahe hai mujhe yuun
dekho tum aae to main ghar se nikal jaunga
par raha jaega kab hai miri halat taghir
yuun na jaunga to main bhes badal jaunga
‘jurat’ ashar-e-junun-khez kah ab aur ki main
le ke ye turbat-e-sauda pe ghazal jaunga
Leave a Reply