farogh-e-mehr se rindon ka aḳhir kaam kya hoga
zamin par daur chalta hai falak par jaam kya hoga
ye main janun ki main ne kyuun kiya aghaz ulfat ka
ye vo janen ki is aghaz ka anjam kya hoga
tira tark-e-sitam tamhid hai tark-e-ta.alluq ki
mujhe is dil-shikan-aram se aram kya hoga
pareshan main nahin lekin jafa par tum pasheman ho
vafa par meri is se baḌh ke aur ilzam kya hoga
sharabi hai vahi rag rag men jis ki qudrati mai ho
na ho kaif-afrin jo dil vo mai-asham kya hoga
ḳhushi hogi davami gham-zadon ko jab kabhi hogi
jise har-vaqt ho aram use aram kya hoga
guman tha nek mujh par nek logon ka so ab tak hai
magar ab main kahan ‘natiq’ mujhe ilham kya hoga
Leave a Reply