fariyad kare kis se gunahgar tumhara
allah bhi hakim bhi taraf-dar tumhara
kaabe ki to kya asl hai us kuche se aage
jannat ho to jaae na gunahgar tumhara
dard-e-dil-e-ashiq ki dava kaun karega
sunte hain masiha bhi hai bimar tumhara
‘jauhar’ tumhen nafrat hai bahut bada-kashi se
barsat men dekhenge ham inkar tumhara
Leave a Reply