un ke jalve sahar-o-sham tak aa pahunche hain
mere aghaz ab anjam tak aa pahunche hain
hazrat-e-ḳhizr pareshan na ho aram karen
ham bhi ab manzil-e-aram tak aa pahunche hain
tohmat-e-ishq men ham aaj akele to nahin
vo bhi ab markaz-e-ilzam tak aa pahunche hain
mai-kasho muzda-e-masti ki janab-e-va.iz
baḌh ke ab tazkira-e-jam tak aa pahunche hain
us ko meraj-e-vafa kyuun na kahun jab akasr
bil-irada vo mire naam tak aa pahunche hain
ye mira zabt ki main apni jagah huun mohtat
dar-haqiqat mujhe paigham tak aa pahunche hain
dekh kar tang-dili bazm men saaqi ki ‘safir’
rind bhi jur.at-e-nakam tak aa pahunche hain
Leave a Reply