• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Farishte Imtihan-E-Bandagi Mein Humse Kam Nikle

Farishte Imtihan-E-Bandagi Mein Humse Kam Nikle

farishte imtihan-e-bandagi men ham se kam nikle

magar ik jurm ki padash men jannat se ham nikle

gham-e-duniya-o-din un ko na fikr-e-nek-o-bad un ko

mohabbat karne vaale be-niyaz-e-besh-o-kam nikle

gharaz ka.abe se thi jin ko na tha matlab kalisa se

had-e-dair-o-haram se bhi vo aage do-qadam nikle

sahar ki manzil-e-raushan pe ja pahunche vo divane

shab-e-tarik men jo nuur ka le kar alam nikle

mah-o-ḳhurshid ban kar asmanon par hue raushan

do aansu vo miri ankhon se jo sham-e-alam nikle

sukut-e-shab men ham ne ek rangin ḳhvab dekha tha

masarrat javedan hogi agar ta.abir-e-gham nikle

na milti hon sharab-e-zindagi ki talḳhiyan jin men

suna hai vo ‘ziya’ ke dil se aise sher kam nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham-Ha-E-Mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun

Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun

Maine Kaha Ki Raaz Chhupaya Na Jaega

abhishek-shukla

Kisi Tarah Ki Ibaadat Rawa Nahin Rakhunga

Qalam KHamosh Hai Alfaz Ki Tasir Bole Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet