faraz-e-ishq teri intiha nahin hue ham
kisi pe qarz the lekin ada nahin hue ham
teri gali ke siva aur kya Thikana hai
yahin milenge agar lapata nahin ham
tumhare ba.ad baḌa farq aa gaya ham men
tumhare ba.ad kisi par ḳhafa nahin hue ham
ta.alluqat men sharten kabhi nahin rakkhin
kabhi kisi ke liye mas.ala nahin hue ham
abhi hamari mohabbat nahin khuli tum par
abhi tumhare maraz ki dava nahin hue ham
Leave a Reply