divangi se kaam liya hai kabhi kabhi
daman kisi ka thaam liya hai kabhi kabhi
karta raha kisi ko bhulane ki koshishen
yuun dil se intiqam liya hai kabhi kabhi
had se siva jo baḌhne lagin be-qarariyan
aise men un ka naam liya hai kabhi kabhi
nazren mili hui thiin tabassum labon pe tha
saaqi se yuun bhi jaam liya hai kabhi kabhi
ḳhud ro diya kisi ko hansane ke vaste
majburiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
shayad miri vafa use yaad aa.i mere baad
us ne bhi mera naam liya hai kabhi kabhi
ḳhud aag de ke apne nasheman ko aap hi
bijli se intiqam liya hai kabhi kabhi
kaam aa ga.iin ‘sa.id’ ki mastana laghzishen
us ko kisi ne thaam liya hai kabhi kabhi
Leave a Reply