faraz-e-be-khudi se tera tishna-lab nahin utra
abhi tak us ki ankhon se khumar-e-shab nahin utra
zara main soch luun kya kaam us ko aa pada mujh se
kabhi vo bam-e-tanhai se be-matlab nahin utra
miri pursish ko aa pahuncha hasin banda koi varna
falak se aaj tak meri madad ko rab nahin utra
sitara sa nazar aata hai uupar se jahan paani
main khush-fahmi ke is gahre kuen men kab nahin utra
pashemani ke baad us ko giraun kaise nazron se
ki jab vo bevafa tha mere dil se tab nahin utra
kabhi sartaj mujh be-taj ko sahvan kaha us ne
abhi tak mere sar se nashsha-e-mansab nahin utra
tamanna hai ki chhedun naghma-e-insaniyat lekin
‘qatil’ ab tak mire aasab se mazhab nahin utra
Leave a Reply