kaghaz qalam davat ke andar ruk jaata hai
jo lamha is zaat ke andar ruk jaata hai
suraj din bhar zahr ugalta rahta hai
chand ka zoam bhi raat ke andar ruk jaata hai
pahle saans jama deta hai honton par
phir vo apni ghaat ke andar ruk jaata hai
nikal nahin sakta dharti ka banjar-pan
jo qatra barsat ke andar ruk jaata hai
harf ka diip hava se kaise uljhega
ye nuqta har baat ke andar ruk jaata hai
hijr ka mausam khamoshi aur raat ka dar
yadon ki barat ke andar ruk jaata hai
Leave a Reply