ji bahut chahta hai rone ko
aa.ina ansuon se dhone ko
din ka jalta safar tamam hua
raat ab kah rahi hai sone ko
ḳhvab bunne ka fa.eda kya hai
vo to hona hai jo hai hone ko
yaad us ki mata-e-jan apni
dida-e-tar mujhe Dubone ko
pusht par bojh biiti yadon ka
zindagi jaise laash Dhone ko
umr ik ja chuki to ye jaana
ḳhud ko paaya tha main ne khone ko
Leave a Reply