ye mohabbat ki javani ka saman hai ki nahin
ab mire zer-e-qadam kahkashan hai ki nahin
daman-e-rind-e-bala-nosh ko dekh ai saaqi
parcham-e-ḳhvajgi-e-kaun-o-makan hai ki nahin
muskurate hue guzre the idhar se kuchh log
aaj pur-nur guzar-gah-e-zmaan hai ki nahin
husn hi husn hai gulzar-e-junun men raqsan
ishq ka alam-e-sad-rang javan hai ki nahin
raah par aa hi gae aaj bhaTakne vaale
rahbar dekh vo manzil ka nishan hai ki nahin
laakh girdab-o-talatum se guzar kar ai dost
ab safina mira sahil pe ravan hai ki nahin
tazkire apne har ik bazm men hain ai ‘aḳhtar’
aaj mohmal si hadis-e-digran hai ki nahin
Leave a Reply