dhaḌkanen ban ke jo siine men raha karta tha
kya ajab shaḳhs tha jo mujh men jiya karta tha
naḳhun-e-vaqt ne har naqsh khurach Daala hai
mera chehra miri pahchan hua karta tha
kaa.i honTon pe hama-vaqt jami rahti thi
ek dariya miri ankhon men thama karta tha
ik talatum tha tah-e-ab sukut-e-dariya
dil-e-ḳhamosh men ik shor raha karta tha
murta.ish hota tha jab ḳhama-e-angusht kabhi
kya kya qirtas-e-ḳhala par main likha karta tha
zehn-o-dil is liye sargarm-e-amal rahte the
rahnuma.i miri har vaqt ḳhuda karta tha
abla-pa.iyan karti thiin agar dil-shikani
hausla phir rah-e-ummid ko va karta tha
ho gaya nazr bil-aḳhir miri haq-goi ki
ek sar jo kabhi shanon pe saja karta tha
kya hua aaj ai ‘salim’ vo shu.ur-e-baligh
jo qalam-zad tiri tahrir kiya karta tha
Leave a Reply