
Karrar Noori
fan ki aur zaat ki paikar ne sone na diya
dil men jaage hue fankar ne sone na diya
har taraf tapti hui dhuup mire saath ga.i
zer-e-saya kisi divar ne sone na diya
ek ma.asum si surat ko kahin dekha tha
phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya
mere ham-sa.e men shayad hai koi mujh jaisa
hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya
kal mire shahr men ik zulm kuchh aisa bhi hua
raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya
jagte rahne ka aram to kya ham ko bhi
chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya
kal kuchh aisi hi sar-e-bazm miri baat giri
kisi pahlu mire pindar ne sone na diya
ek dhaḌka sa laga tha ki sahar-dam kya ho
sar pe laTki hui talvar ne sone na diya

Leave a Reply