• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Falak Ke Na in Mah-Paron Ko Dekho

Falak Ke Na in Mah-Paron Ko Dekho

falak ke na in mah-paron ko dekho

jo miTTi men hain un sitaron ko dekho

kabhi karvan bhi numudar hoga

nigahen jama.e ghubaron ko dekho

nikal kar kabhi sahr-e-sud-o-ziyan se

mohabbat ke ujḌe dayaron ko dekho

chaman men ye kis chaal se chal rahe ho

na phulon ko dekho na ḳharon ko dekho

zaban husn ki mo’atabar kab hui hai

kinayon ko samjho isharon ko dekho

musalleh qataren idhar bhi udhar bhi

zara amn ki rah-guzaron ko dekho

chaman ki ḳhizan par na aansu bahao

nazar hai to kal ki baharon ko dekho

na dekho daraḳhton ki duuri chaman men

lipaTti hui shaḳh-saron ko dekho

zara jhank kar ghurfa-e-mai-kada se

taraste labon ki qataron ko dekho

kisi ke sitam ko bhi samajhte tavajjoh

are in taghaful ke maron ko dekho

vo daur-e-hayat-e-jahan aa gaya hai

bhanvar men raho aur kinaron ko dekho

baḌho aur hathon ka ik pal bana lo

kinaron se kab tak savaron ko dekho

bina-e-baqa dhamkiyon par fana ki

na.e jag ke parvardigaron ko dekho

kabhi nam-e-‘mulla’ na aaya zaban tak

ye duniya hai ‘mulla’ ke yaron ko dekho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shor Ab Aalam Mein Hai Us Shobada-Pardaz Ka

ahmad-hamdani

dilon Ko Ranj Ye Kaisa Hai Ye Khushi Kya Hai

nazeer-akbarabadi

Bazm-E-Tarab Waqt-E-Aish Saqi O Naql O Sharab

firaq-gorakhpuri

Ban-Basiyon Mein Jalwa-E-Gulshan Le Kar

poet

Manzil Pe Pahunchte Hi Sitam TuT Rahe Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet