tum samajhti ho ye gul-dan men hanste hue phuul
meri afsurdagi-e-dil ko mita hi denge
ye hasin phuul ki hain jan-e-gulistan-e-bahar
mere soe hue naghmon ko jaga hi denge
tum ne dekhi hain damakti hui shamen lekin
tum ne dekhe nahin bujhte hue dipak hamdam
vahi dipak jo nigahon ka sahara pa kar
ek lamhe ke liye jalte hain bujh jaate hain
kabhi ik ashk se dhul jaate hain sadiyon ke ghubar
kaenat aur nikhar aur sanvar jaati hai
kabhi nakam tamanna ki sada-e-mubham
qahqaha ban ke fazaon men bikhar jaati hai
tutte taron ke sangit sune hain tum ne
vo bhi naghme hain jo honton se gurezan hi rahe
phad.phadate hue dekhe hain fazaon men kabhi
vo fasane jo nigahon se bayan ho na sake
kabhi kanton se bahal jaati hai ruh-e-ghamgin
aur maasum shagufon ki rasili khushbu
neshtar ban ke rag-e-jan men utar jaati hai
haan yahi phuul yahi jan-e-gulistan-e-bahar
naag ban kar kabhi ehsas ko das lete hain