tere bhaai ko chaha ab teri karta huun pa-bosi
mujhe sartaj kar rakh jaan men ashiq huun maurusi
rafu kar de hain aisa pyaar jo ashiq hain yaksu siin
phada kar aur siin shaal apni kahta hai mujhe tu si
hua makhfi maza ab shahidi siin shahad ki zahir
magar zambur ne shirini un honton ki ja chusi
kise ye taab jo us ki tajalli men rahe thahra
rumuz-e-taur laati hai sajan teri kamar mu si
samata naiin izaar apne men abtar dekh rang us ka
kare kim-khvab so jaane ki yuun paate hain jasusi
ba-rang-e-shama kyuun yaqub ki ankhen nahin raushan
zamane men suna yusuf ka pairahan tha fanusi
na chhodun us lab-e-irfan ko ‘naji’ aur luta duun sab
mile gar mujh ko mulk-e-khusravi aur taj-e-kausi
Leave a Reply