vo duur buland pahadon par
malbus farishton ka pahne
khvabon ke muhib darakhton ki
shakhon par jhula daale hue
parchhaiyan chhoti badi lakhon
masruf hain zakhm-shumari men
main ek nahif se nuqte ki
banhon men asiir tadapta huun
hamvar zamin par chalne ki
khvahish ke azaab men jalta huun
Leave a Reply