• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam

Nahin Hai Mujhko Ai Jamshed Tere Jam Se Kaam

poet

nahin hai mujh ko ai jamshed tere jaam se kaam

jahan-numa hai mujhe apne khush-khiram se kaam

sabhi to diin va duniya ka kaam karte hain

mujhe na diin na duniya ke intizam se kaam

haram men shaikh hain aur dair men barahman hain

hamen nahin hai unhon ke koi kalam se kaam

kunisht-e-dil men hai ik josh but-parasti ka

mujhe buton ki hai khidmat men raam raam se kaam

gharaz na kufr se kuchh hai na diin se matlab

na hai halal se na hai hamen haram se kaam

sanam ke ru-ba-ru rahna mujhe ghanimat hai

na sharm nang se kuchh hai mujhe na naam se kaam

khafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun

agar na dekhe to phir bhi hai ik salam se kaam

suna suna ke jo karta hai vaaz-e-husn bayan

pada hai tujh ko hamesha ye fahm-e-kham se kaam

tu apne bakne se ‘miskin’ na ham se duur hua

tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jigar-moradabadi

Lakhon Mein Intikhab Ke Qabil Bana diya

Na Jaane Kab Wo palaT Aaen Dar Khula Rakhna

Ek Kafir-Ada Ne luT Liya

Harza-Sarai Bain-E-suKHan Aur baDh Gai

Dikhai Dengi Sabhi Mumkinat Kaghaz Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet