• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tah-E-Girdab To Bachna Mera dushwar Hai Phir Bhi

Tah-E-Girdab To Bachna Mera dushwar Hai Phir Bhi

parvin-sheer

tah-e-girdab to bachna mira dushvar hai phir bhi

kinare duur hain tuuti hui patvar hai phir bhi

thakan se chuur huun, sar rakh diya hai us ke siine par

mujhe maalum hai ye ret ki divar hai phir bhi

mata-e-rishta-e-jan karobar-e-manfaat kab thi

kharidaron ke halqe men sar-e-bazar hai phir bhi

miri mutthi men nazuk pankhudi mahfuz rahti hai

bachana sang-bari men use dushvar hai phir bhi

tire lahje ki shabnam jazb kar de kuchh nami is men

agarche dil sulagti ret ka ambar hai phir bhi

charagh-e-arzu hai muntazir dahliz par meri

vo duuri ke dhundlakon men bahut lachar hai phir bhi

samundar tishnagi ka ab sarab-e-ishq men zam hai

shikasta haal mera shisha-e-pindar hai phir bhi

ye miti chaak par thamti nahin hai, itni giili hai

kathin ye marhala hai, kuza-gar la-char hai phir bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Isi Chaman Mein Mera Nazm-E-Ashiyan Badla

kishwar-naheed

dukh Ki Gutthi Kholenge

Ufuq Par Kaisa Baadal Chha Raha Hai

akhtar-hoshiyarpuri

Baja Ki dushman-e-Jaan Shahr-e-Jaan Ke Bahar Hai

Hisar-E-Dil Se Udhar Bhi Haqiqaten Hain Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet