• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Zan-E-Khana-Ba-dosh

Ek Zan-E-Khana-Ba-dosh

fahmida-riaz

tum ne dekhi hai kabhi ek zan-e-khana-ba-dosh

jis ke kheme se pare raat ki tariki men

gursana bhediye ghurrate hain

duur se aati hai jab us ki lahu ki khushbu

sansanati hain darindon ki hansi

aur danton men kasak hoti hai

ki karen us ka badan sad-para

apne kheme men simat kar aurat

raat ankhon men bita deti hai

kabhi karti hai alaao raushan

bhediye duur bhagane ke liye

kabhi karti hai khayal

tez nukila jo auzar kahin mil jaae

to bana le hathiyar

us ke kheme men bhala kya hoga

tuute phute hue bartan do-char

dil ke bahlane ko shayad ye khayal aate hain

us ko malum hai shayad na sahar ho paae

sote bachchon pe jamae nazren

kaan aahat pe dhare baithi hai

haan dhyan us ka jo bat jaae kabhi

gungunati hai koi bisra giit

kisi banjare ka

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere KHayal Ke Sadqe Ye Kya Maqam Aaya

ahmed-nisar

Maqam-e-Hijr Kahin Imtihan Se Khaali Hai

Duniya Ki Dil Dukhane Ki Aadat Nahin Gai

Aae the Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae

Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe khaDa Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet