• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Tir Nahin Kya Teri Mizhgan Ki Safon Mein

Ek Tir Nahin Kya Teri Mizhgan Ki Safon Mein

ik tiir nahin kya tiri mizhgan ki safon men

bah jaa.en lahu ban ke ye hasrat hai dilon men

dariya ho to maujon men khule is ka sarapa

pagal hai hava chiḳhti phirti hai banon men

teshe ki sada meri hi fariyad thi goya

meri hi tarah tha koi patthar ki silon men

yuun aaj phir ik hasrat-e-nakam pe ro.e

jaise na the pahle kabhi azurda-dilon men

ab sub.h se ta-sham hai sadiyon ki masafat

har lamha-e-be-qaid hai zanjir dinon men

raston pe umaDta hua phulon ka samundar

hairan huun kis tarah samaya hai gharon men

khencha tha junun ne jise daman-e-hava par

dekha to vahi shakl hai miTTi ki tahon men

kya Theren qadam dasht-e-navardan-e-vafa ke

kanTa to nahin paanv men sauda hai saron men

tausif vo yadon ka dhuan hai ki sar-e-bazm

chehre nazar aate hain charaghon ki lavon men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Madad Ka Yahan Tak Hisab Dena paDa

azra-abbas

Andhera

poet

Wo Bigde Hain Ruke Baithe Hain Jhunjlate Hain Ladte Hain

Ameer Khasro

Sawan Aaya

KHak the Kahkashan Ke the Hi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet