• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sadaon Ka Samundar

Sadaon Ka Samundar

sarwat-zehra

sadaon ka samundar

mere jism men

ek sadaon ka samundar thahar gaya hai

ye meri aankh

kisi khvab ke paiham chatakhne ki

guunj de rahi hai

main apni kokh men se

khamoshiyon ke humakne ki

avaz sun rahi huun

aur phir!

meri ungli ki poron se

mere harf bahe ja rahe hain

mere khuun ki ravaniyan

jism ki naliyon men se

kisi bipharti hui mauj ki tarah

apne sahil ko pukarti hain

aur meri saans

mere aaza ke biich se yuun ja rahi hai

jaise

viran jhadiyon ke darmiyan se

guzarti hui vo hava ho

jo sukhe hue zard patton ke raaz bantti hai

aur main apne jism ki bosida divar se kaan lagae

har ek sada ko baghaur sun rahi huun

aur shayad inhi men bah rahi hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Manzar-E-Waqt Ki Yaksani Mein baiTha Hua Hun

ahmad-hamesh

Mehwar

poet

Koi Us Se Nahin Kahta Ki Ye Kya Bewafai Hai

Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya

Gir Ke Bistar Pe Ro Raha Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet