ek tera gham jis ko rah-e-mo’tabar janen
is safar men ham kis ko apna ham-safar janen
jis se kuchh na kah paaen jan-e-guftugu thahre
jis se kam milen us ko sab se beshtar janen
apna aks bhi aksar saath chhod jaata hai
ye maal-e-khud-bini kaash shishagar janen
tar-tar kar dalen sabr-o-zabt ka daman
zakhm zakhm dikhla den zarf-e-chara-gar janen
Leave a Reply