ek rahzan ko amir-e-karvan samjha tha main
apni bad-baḳhti ko manzil ka nishan samjha tha main
teri ma.asumi ke sadqe meri mahrumi ki ḳhair
ai ki tujh ko surat-e-aram-e-jan samjha tha main
dushman-e-dil dushman-e-din dhushman-e-hosh-o-havas
haa.e kis na-mehrban ko mehrban samjha tha main
dost ka dar aa gaya to ḳhud-baḳhud jhukne lagi
jis jabin ko be-niyaz-e-astan samjha tha main
qafile ka qafila hi raah men gum kar diya
tujh ko to zalim dalil-e-rah-ravan samjha tha main
mere dil men aa ke baiThe aur yahin ke ho ga.e
aap ko to yusuf-e-be-karvan samjha tha main
ik darogh-e-maslahat-amez tha tera suluk
ye haqiqat thi magar ye bhi kahan samjha tha main
zindagi in.am-e-qudrat hi sahi lekin ise
kya ghalat samjha agar yar-e-garan samjha tha main
pher tha qismat ka vo chakkar tha mere paanv ka
jis ko ‘sho.ala’ gardish-e-haft-asman samjha tha main
Leave a Reply