ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya
ek musht-e-khak jo bikhri to sahra kar diya
mere tuute hausle ke par nikalte dekh kar
us ne divaron ko apni aur uncha kar diya
vardat-e-qalb likkhi ham ne farzi naam se
aur hathon-hath us ko khud hi le ja kar diya
us ki narazi ka suraj jab sava neze pe tha
apne harf-e-ijz hi ne sar pe saaya kar diya
duniya bhar ki khaak koi chhanta phirta hai ab
aap ne dar se utha kar kaisa rusva kar diya
ab na koi khauf dil men aur na ankhon men umiid
tu ne marg-e-na-gahan bimar achchha kar diya
bhuul ja ye kal tire naqsh-e-qadam the chand par
dekh un hathon ko kis ne aaj kaasa kar diya
ham to kahne ja rahe the hamza-e-ye vassalam
biich men us ne achanak nun-ghunna kar diya
ham ko gaali ke liye bhi lab hila sakte nahin
ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya
tirgi ki bhi koi had hoti hai akhir miyan
surkh parcham ko jala kar hi ujala kar diya
bazm men ahl-e-sukhan taqtia farmate rahe
aur ham ne apne dil ka bojh halka kar diya
jaane kis ke muntazir baithe hain jhadu pher kar
dil se har khvahish ko ‘adil’ ham ne chalta kar diya
Leave a Reply