ik pal baghair dekhe use kya guzar gaya
aise laga ki ek zamana guzar gaya
sab ke liye buland rahe haath umr bhar
apne liye duaon ka lamha guzar gaya
koi hujum-e-dahr men karta raha talash
koi rah-e-hayat se tanha guzar gaya
milna to khair us ko nasibon ki baat hai
dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya
dil yuun kata hua hai kisi ki judai men
jaise kisi zamin se dariya guzar gaya
is baat ka malal bahut hai mujhe ‘adim’
vo mere samne se akela guzar gaya
ham dekhne ka dhang samajhte rahe ‘adim’
itne men zindagi ka tamasha guzar gaya
baaqi bas ek nam-e-khuda rah gaya ‘adim’
sab kuchh baha ke vaqt ka dariya guzar gaya
Leave a Reply