ik na.i shaan se phir jashn-e-baharan hona
gulistan tujh ko mubarak ho bayaban hona
phuul ke ruup men kanTon ne hamen paala hai
ham ko aaya na kabhi gham se pareshan hona
mere ash.ar ne pighla diin kisi ki ankhen
ek but ko bhi mayassar hua insan hona
rampur ai mire tahzib-o-tamaddun ke dayar
ho mubarak tujhe urdu ka dabistan hona
ham ne saunpi hai unhen apni hifazat ai ‘hosh’
jin ko aaya nahin ḳhud apni nigahban hona
Leave a Reply