ek muddat se talabgar huun kin ka in ka
tishna-e-hasrat-e-didar huun kin ka in ka
jaan ko bech ke ye naqd-e-dil ab laaya huun
sab se pahle main ḳharidar huun kin ka in ka
imtidad is mire bimar ka mat puchh tabib
roz-e-misaq se bimar huun kin ka in ka
muḳhlisi qaid se mushkil hai mujhe ta-dam-e-marg
dam-e-ulfat men giraftar huun kin ka in ka
bud-o-bash apna bata.un main tumhen kya yaaro
sakin-e-saya-e-dar huun kin ka in ka
hai baja faḳhr karun apni agar taala par
kafsh-bardaron ka sardar huun kin ka in ka
galiyan tujh ko jo dete hain ye ‘hatim’ hain kaun
kuchh na puchho men gunahgar huun kin ka in ka
to saza-var-e-saza kis ka hua hai ‘hatim’
sahib-e-man main gunahgar huun kin ka in ka
Leave a Reply