ek muddat se sar-e-bam vo aaya bhi nahin
ham ko ab hasrat-e-didar-e-tamanna bhi nahin
jada-e-shauq men tanha bhi huun tanha bhi nahin
kya hasin baat hai rusva bhi huun rusva bhi nahin
tum jo naraz hue ho ga.i duniya barham
ab to girti hui divar ka saaya bhi nahin
kis ko main duut kahun kis ko main dushman janun
sabhi apne hain yahan koi paraya bhi nahin
aaj tak bhi main parastish to kiye jaata huun
ye alag baat ki main ne tumhen dekha bhi nahin
sub.h ki sham.en liye phirte ho kyuun divano
rishta-e-shab to abhi ḳhair se TuuTa bhi nahin
to taḳhayyul ke dariche men tha khoya khoya
paikar-e-husn tujhe main ne jagaya bhi nahin
kis tarah gham ko main taqsim karunga yaaro
qissa-e-dard ko halat ne samjha bhi nahin
kab talak chalna paḌega hamen tanha tanha
ab kisi moḌ pe mil ja.enge aisa bhi nahin
ru-ba-ru un ke mire honT na khulne paa.e
dil ko iz.har-e-tamanna ka sahara bhi nahin
jaane kya soch ke us ne mujhe divana kaha
haa.e us ko abhi mahfil pe bharosa bhi nahin
rabte joḌne nikla tha main insan ke ‘ḳhayal’
kisi insan ne mujhe pyaar se dekha bhi nahin
Leave a Reply