ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha
varna dil ka marna asan tha mushkil na tha
shauq-e-azadi men taḌpun us pe raazi dil na tha
varna betabi salamat chhuTna mushkil na tha
hashr men vo sar jhuka.e hain main shikva kya karun
jaane vaali jaan thi mera koi qatil na tha
ab sulaimani kise kahte hain batla de mujhe
ek aalam tha tiri muTThi men mera dil na tha
de sada ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar
aise bhi dar hain kabhi jin par koi saa.il na tha
ḳhaas vaqt-e-yad-e-gulshan aur mera chheḌna
shab ko bhi sayyad mere zab.h se ghafil na tha
sub.h-o-sham-e-gham ne daman bhar ke bheja dahr se
varna is umr-e-do-roza ka koi hasil na tha
us ki qudrat na-tavanon ko bhi deta hai uruuj
asman se sar chaḌhe naala to is qabil na tha
tere naqshe ne bhi furqat men na bahlaya mujhe
sham-e-gham jab aa.i gurdon par har kamil na tha
dekh lete do qadam chal kar ki matlab tha yahi
dar pe jo aaya tha vo bimar tha saa.il na tha
qalb-e-sozan aur hi dhoka na khana dahr men
rah gaya jo aag de kar sang tha vo dil na tha
kuchh sambhal jaata agar karvaT badal jaate miri
ye mujhe dushvar tha un ke liye mushkil na tha
Dubta tha dil shab-e-vasl aa chuki thi ta-sahar
ek tinke ka sahara bhi lab-e-sahil na tha
is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr men
kaun sa din tha ki main avara-e-manzil na tha
ek jalti sham.a uThva di bahut achchha kiya
soḳhta-dil tha main koi raunaq-e-mahfil na tha
sham-e-gham jis men rahe barson vahan kya iid ho
vo to aa jaa.e magar ye dil hi is qabil na tha
juz fareb-e-husn aur ulfat ko ‘saqib’ kya kahun
zindagi se shai kabhi us par bhi dil maa.il na tha
Leave a Reply