fasl ki jalvagari dekhta huun
shaḳh kanTon se bhari dekhta huun
raqs-gahon men baḌe charche hain
kaun hai laal pari dekhta huun
chand ko chahiye ham-shakl apna
rat-bhar dar-badari dekhta huun
lau machalti hai khuli khiḌki men
roz ik sham.a dhari dekhta huun
mere bas men hai nahin kya chalna
jhanDiyan laal hari dekhta huun
dekhta huun main ‘zubair’ apni taraf
ya jamal-e-qamri dekhta huun
Leave a Reply