ek mafruza taqaddus ḳhud pe taari kar raha huun
koh-e-isyan se bahishti nahr jaari kar raha huun
chahta huun arsh-o-kursi tak pahunchna rafta rafta
asfaleni ḳhvahishon par yuun savari kar raha huun
munhamik hai pairahan shaghli men kyuun chashm-e-taḳhayyul
main abhi uryan badan par dast-kari kar raha huun
nafs-e-taskini pe us ne sau taqaze rakh diye hain
main jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-bari kar raha huun
sar-nigun guzra hai shayad ab ke talvaron ka mausam
be-irada shahr ki mardum-shumari kar raha huun
Leave a Reply