ek jalva ba-sad andaz-e-nazar dekh liya
tujh ko hi dekha kiye tujh ko agar dekh liya
jaise sar phoḌ ke mil ja.egi zindan se najat
kya junun ne koi divar men dar dekh liya
baaz hai aaj talak dida-e-hairan ki tarah
dasht-e-vahshat ne kise ḳhak-basar dekh liya
jurm-e-nazzara ki paata hai saza dil ab tak
ahl-e-dil dekh liya ahl-e-nazar dekh liya
surat-e-naqsh-e-qadam dida-e-mushtaq hain ham
jab bhi vo aaya sar-e-rahguzar dekh liya
yahi hasrat hai ki vo ek nazar dekh to le
aur us ne kabhi is samt agar dekh liya
kahin parda hai tajalli kahin jalva hai hijab
ye tamasha bhi tira zauq-e-nazar dekh liya
roz ik taaza gham-e-dahr hai nazil ‘tabish’
ek tufan-e-bala ne mira ghar dekh liya
Leave a Reply