puure qad se main khaḌa huun samne aa.ega kya
main tira saaya nahin huun mujh ko samjha.ega kya
andhiyon par uḌ raha hai jin parindon ka hujum
asman ki vus.aton se lauT kar aa.ega kya
ik na.e manzar ka ḳhaka asman par kyuun nahin
chand apni chandni par yunhi itra.ega kya
fasl-e-gul ke ba.ad patjhaḌ yuun to ik ma.amul hai
ḳhauf ban kar phir dar-o-divar par chha.ega kya
janib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq
dasht ki be-ḳhvabiyon ka razdan aa.ega kya
ḳhuun ki roti safedi be-sada sazon ka shor
be-sar-o-pa giit koi be-zaban ga.ega kya
hai ghazal azad goya be-dar-o-divar ghar
ham ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aa.ega kya
Leave a Reply