ek jagah pe nahin hai mujhe aram kahin
hai ajab haal mira sub.h kahin shaam kahin
chashm ne jo yamani laḳht jigar ke kho de
un nagin ka to nahin sunte ham ab naam kahin
apni qismat men mai-e-saf to saaqi ma.alum
kaash phenke tu idhar durd-e-tah-e-jam kahin
ai falak tarah se makḌi ki tu jalon ko na puur
vo jo shahbaz hain aate hain tah-e-dam kahin
us kamar se nigah-e-shauq lipaTti to hai lek
ji ye dhaḌke hai ki aa jaa.e na ilzam kahin
tum ne ki dil ki talab ham bhi kahavenge va-lek
yuun ye farma.ishen hoti hain sar-anjam kahin
pa-e-divar se phir meri tarah vo na uTha
jin ne dekha tujhe yakbar sar-e-bam kahin
uzr-e-taqsir bhi chahunga main us se ai dil
Tuk tu ḳhamosh ho dene se vo dushnam kahin
azm ka.aba ka tu ‘qa.em’ to kiya hai lekin
rahn-e-mai kiijo na vaan jama-e-ehram kahin
Leave a Reply