ek hi dasht tha vo bhi na khangala main ne
dil pe lena nahin tha paanv ka chhala main ne
ghar ke Dah jaane men ghaflat miri shamil thi magar
saara malba dar-o-divar pe Daala main ne
kaash main apne aza-daron ko batla sakta
kaisa dukh tha vo jise maut se Taala main ne
aḳhir-e-kar ghulami se baghavat kar di
aur zanjir ko shamshir men Dhala main ne
yuun to har shaḳhs yahan aankh liye phirta hai
par nahin dekha koi dekhne vaala main ne
aur phir ik roz hamesha ke liye kho gaya main
ya.ani ik roz use DhunD nikala main ne
Leave a Reply