kitna kamzor hai iman pata lagta hai
ghar men aaya hua mehman bura lagta hai
main ne honTon pe tabassum to saja rakkha hai
gham bhulane men magar vaqt baḌa lagta hai
aap bekar mujhe shajara dukhane aa.e
aap jo bhi hain vo lahje se pata lagta hai
jab milata huun nazar to nahin milti nazren
jab haTata huun nazar us ko bura lagta hai
titliyan ban ga.iin phir aaj vafadar ka.i
baagh men koi naya phuul khila lagta hai
yuun gham-e-hijr ko duniya se chhupata huun magar
kitna kamzor huun ankhon se pata lagta hai
Leave a Reply