ek ik qatra joḌ kar rakkha
ḳhuun saara nichoḌ kar rakkha
rang to aur bhi the jivan men
kyuun udasi ko oḌh kar rakkha
kyunki a.ina sach bata dega
is liye us ko toḌ kar rakkha
jo bhi lamhe tumhare saath kaTe
main ne un sab ko joḌ kar rakkha
vo varaq jis men tera naam aaya
main ne un sab ko moḌ kar rakkha
ḳhud pe jab bhi kiya yaqin main ne
ruḳh havaon ka moḌ kar rakkha
Leave a Reply