• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaise Kahen Ki Chaar Taraf Daera Na Tha

Kaise Kahen Ki Chaar Taraf Daera Na Tha

poet

kaise kahen ki chaar taraf da.era na tha

jaate kahan ki ḳhud se pare rasta na tha

jab saans le rahi thi daraḳhton ke as-pas

avaz de rahi thi koi bolta na tha

ḳhud se chale to rah-guzar a.ina ho ga.i

apne siva.e aur koi sujhta na tha

ab ke basant aa.i to ankhen ujaḌ ga.iin

sarson ke khet men koi patta hara na tha

parda hila ke bad-e-sahar duur tak ga.i

ḳhushbu kidhar se aa.i kisi ko pata na tha

guzri tamam umr usi shahr men jahan

vaqif sabhi the go koi pahchanta na tha

ai ‘ashk’ ik kitab paḌhi thi varaq varaq

vo tirgi thi lafz koi sujhta na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahin Kahin Se Pur-Asrar Ho Liya Jae

aas-fatmi

Bosida Jism-O-Jaan Ki Qabaen Liye Hue

Gul-O-Saman Ki Tarah Dil Mein Hans Rahe Hain Hum

sauda-mohammad-rafi

Ai Aah Teri Qadr Asar Ne To Na Jaani

Main Apne Azab Likh Rahi Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet