apna muhasba kabhi karne nahin diya
ḳhud-biniyon ne ham ko sanvarne nahin diya
halat ne agarche sujha.i gadagari
meri ana ne mujh ko bikharne nahin diya
tufan se khelne ka raha shauq umr bhar
sahil pe jis ne mujh ko utarne nahin diya
almariyon men qaid raha apna saara ilm
qalb-o-nazar ko ham ne nikharne nahin diya
duniya se kab ka uTh gaya hota main ai sanam
lekin tire ḳhayal ne marne nahin diya
manzil to mere samne aati rahi ‘obaid’
josh-e-junun ne mujh ko Thaharne nahin diya
Leave a Reply