ek ik pal tira nayab bhi ho sakta hai
hausla ho to zafar-yab bhi ho sakta hai
biphri maujon se ulajhne ka saliqa hai agar
ye samundar kabhi payab bhi ho sakta hai
umr tapte hue sahra men basar ki jis ne
to sarabon se vo sairab bhi ho sakta hai
aap dariya ki ravani se na uljhen hargiz
tah men us ke koi girdab bhi ho sakta hai
laakh moti hi sahi vaqt ki gardish men kabhi
qimti kitna ho be-ab bhi ho sakta hai
jis ko majbur hua hai to khurachne pe ‘zafar’
teri ankhon ka hasin ḳhvab bhi ho sakta hai
Leave a Reply