apna ho kar bhi paraya nazar aaya huun main
dekh lo kitna ziyada nazar aaya huun main
us ne pahchan liya pahli nazar men mujh ko
aa.ine tere alava nazar aaya huun main
camere ki ye safa.i to nahin ho sakti
ek tasvir men hansta nazar aaya huun main
yaad aa.i hai baḌi der ke ba.ad apnon ko
nazar aane ke alava nazar aaya huun main
aadha samjha hai mujhe ek jhalak men us ne
is ka matlab use saara nazar aaya huun main
Leave a Reply