chhoḌ kar un ko hamara aasra koi nahin
ma-siva un ke sahara dusra koi nahin
mamba.a-e-asrar ishq-e-kibriya koi nahin
un se baḌh kar a.ina-dar-a.ina koi nahin
dar pe pahra hai lagi hain qainchiyan divar par
ho bhala didar kaise rasta koi nahin
jhank kar khiḌki se ḳhud parda gira dete hain vo
jab ki is manzar se manzar ḳhushnuma koi nahin
mah-ruḳh ki zulf se aise bana pur-nur chand
ishq ki duniya men is jaisi ziya koi nahin
gum hua rahta huun un ki yaad men har aan main
is se baḌh kar aur ehsas-e-vafa koi nahin
meri ḳhvahish hai sada phulo-phalo jan-e-bahar
dil ki dhaḌkan se bhi aage ki dua koi nahin
dekhiye maghrib se nikla hai hamara aftab
ham ko hairat ye hui hairat-zada koi nahin
meri mayyat qabr tak dushman ke kandhe par ga.i
ka.enat-e-ishq se aaya gaya koi nahin
qabr ki aghosh men ja kar ‘falak zahir hua
monis-o-hamdam amal ke ma-siva koi nahin
Leave a Reply