ho nahin sakta tiri is ”khush-mazaqi” ka javab
shaam ka dilkash saman aur tere hathon men kitab
rakh bhi de ab is kitab-e-khushk ko bala-e-taq
ud raha hai rang-o-bu ki bazm men tera mazaq
chhup raha hai parda-e-maghrib men mahr-e-zar-fishan
diid ke qabil hain badal men shafaq ki surkhiyan
maujzan ju-e-shafaq hai is tarah zer-e-sahab
jis tarah rangin shishon men jhalakti hai sharab
ik nigarish-e-atishin har shai pe hai chhaya hua
jaise aariz par urus-e-nau ke ho rang-e-haya
shana-e-giti pe lahrane ko hain gesu-e-shab
asman men munaqid hone ko hai bazm-e-tarab
ud rahe hain justuju men ashiyanon ke tuyur
aa chala hai aaine men chand ke halka sa nuur
dekh kar ye shaam ke nazzara-ha-e-dil-nashin
kya tire dil men zara bhi gudgudi hoti nahin
kya tiri nazron men ye ranginiyan bhati nahin
kya hava-e-sard tere dil ko tadpati nahin
kya nahin hoti tujhe mahsus mujh ko sach bata
tez jhonkon men hava ke gungunane ki sada
sabza-o-gul dekh kar tujh ko khushi hoti nahin
uf tire ehsas men itni bhi rangini nahin
husn-e-fitrat ki latafat ka jo tu qaael nahin
main ye kahta huun tujhe jiine ka haq hasil nahin
Leave a Reply