ik be-vafa ko pyaar kiya haa.e kya kiya
ḳhud dil ko be-qarar kiya haa.e kya kiya
malum tha ki ahd-e-vafa un ka jhuuT hai
is par bhi e’tibar kiya haa.e kya kiya
vo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar
nazr-e-nigah-e-yar kiya haa.e kya kiya
ḳhud ham ne faash faash kiya raz-e-ashiqi
daman ko taar taar kiya haa.e kya kiya
aahen bhi baar baar bharin un ke hijr men
naala bhi baar baar kiya haa.e kya kiya
miTne ka gham nahin hai bas itna malal hi
kyuun tera intizar kiya haa.e kya kiya
ham ne to gham ko siine se apne laga liya
gham ne hamen shikar kiya haa.e kya kiya
sayyad ki raza ye ham aansu na pi sake
uzr-e-gham-bahar kiya haa.e kya kiya
qismat ne aah ham ko ye din bhi dikha diye
qismat pe e’tibar kiya haa.e kya kiya
rangini-e-ḳhayal se kuchh bhi na bach saka
har shai ko pur-bahar kiya haa.e kya kiya
dil ne bhula bhula ke tiri bevafa.iyan
phir ahd ustuvar kiya haa.e kya kiya
un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila
kyuun jabr iḳhtiyar kiya haa.e kya kiya
kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr
iman tak nisar kiya haa.e kya kiya
kaali ghaTa ke uThte hi tauba na rah saki
tauba pe e’tibar kiya haa.e kya kiya
sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya
taron ko bhi shumar kiya haa.e kya kiya
‘bahzad’ ki na qadar koi tum ko ho saki
tum ne zalil-o-ḳhvar kya haa.e kya kiya
Leave a Reply